Mustafa Jane Rahmat Pe Lakho Salam | Salatu Salam | Imam Ahmed Raza | Ala Hazrat | Lyrics


Mustafa Jane Rahmat Pe Lakho Salam | Salatu Salam | Imam Ahmed Raza | Ala Hazrat | Lyrics




Jisne Hamko Diya Hai Khuda Ka Payam

Jiska Ala Hai Rutba Hai Ala Maqam

Jinke Sadke Me Hai Ye Zami Aasman

Jinki Tareef Me Hai Ye Sara Quraan

Sare Nabiyo Me Ala Hai Jinka Makam

Kyu Na Unpar Padhe Jhum Kar Ham Salam

Mustafa Jane Rahmat Pe Lakho Salam

Shamye Bazme Hidayat Pe Lakho Salam


Darde Dil Naam Lene Se Hota Hai Kam

Isliye Naam Aaqa Ka Lete Hai Ham-2

Jhoom Kar Likh Raha Hai Raza Ka Kalam

Shahre Yaare Iram Taj Dare Haram

Nou Bahare Shafa'at Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat...


Aaya Saa'il To Muh Ka Niwala Diya

Najar Altaf Dali Gani Kar Diya-2

Anpe Nana Ka Wada Wafa Kar Diya

Ghar Ka Ghar Sab Supurde Khuda Kar Diya

Us Husain Ibne Haidar Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat....


Jinki Maa Fatima Aur Hai Nana Rasool

Kitni Pakiza Hai Unke Kadmo Ki Dhool-2

Marhaba Marhaba Wo Hai Ale Rasool

Kitne Mahke Huye Hai Madine Ke Phool

Karbala Teri Kismat Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat....


Kitni Arfa Hai Shaane Habibe Khuda

Malike Do Saran Sarware Ambiya-2

Muqtadi Jis Ke Sab, Sab Ka Jo Muqtada

Jis Ke Zere Leva Aadmo Mansava

Us Saza e Siyadat Pe Lakhon Salaam

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakho Salam....


Duba Suraj Kisi Ne Bhi Phera Nahi

Koi Misle Yadullah Bhi Dekha Nahi-2

Jiski Taqat Ka Koi Thikana Nahi

Jisko Baare Do Alam Ki Parvah Nahi

Ese Baazu Ki Quwwat Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat Pe Lakho Salam...


Kamli Wale Ki Jisko Rafaqat Mili

Sab Sahaba Ki Jisko Imamat Mili-2

Sabse Pahle Jise Hai Khilafat Mili

Baad Nabiyo Ke Jisko Hai Izzat Mili

Uske Taaje Khilafat Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat Pe Lakho Salam...


Deeno Duniya Diye Maal Aur Zar Diya

Hooro Ghilman Diye Khuldo Kausar Diya-2

Damne Maqsade Zindagi Bhar Diya

Hath Jis Samt Utha Ghani Kar Diya

Mauje Behre Sakhawat Pe Lakhon Salaam

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakho Salam....


Jinki Ajmat Pe Sadke Wakaare Haram

Jinki Julfo Pe Sadke Bahaare Haram-2

Nou Shaye Bazme Parvar Digare Haram

Shahre Yare Iram Tajdare Haram

Nou Bahare Shafa-at Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat....


Jiske Chahre Pe Jalwo Ka Pahra Raha

Najmo Taha Ke Jurmut Me Chehra Raha

Husn Jiska Har Ek Chhab Me Gahra Raha

Jiske Mathe Shafa-at Ka Sahra Raha

Us Jabine Sa-aa dat Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat....


La Maqa Ki Zami Bahre Kaaba Jhuki

Rif Ate Manzile Arshe Ala Jhuki

Ajmate Qiblaye Deeno Duniya Jhuki

Jinke Sajde Ko Mehrabe Kaaba Jhuki

Un Bhawon Ki Latafat Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat....


Pad Gayi Jis Pe Mehshar Me Baqsha Gaya

Dekha Jis Samt Abre Karam Chha Gaya

Rukh Jidhar Ho Gaya Jingadi Pa Gaya

Jis Taraf Uth Gayi Dam Me Dam Aa Gaya

Us Nigahe Inayat Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat....


Jis Ke Jalwe Jamane Pe Chhane Lage

Jiski Jou Se Andere Thikane Lage

Jis Se Julmat Kade Noor Pane Lage

Jis Se Tarif Dil Jagmagane Lage

Us Chamak Wali Rangat Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat....


Kuljume Husn Ki Jinko Shakhe Kahen

Jin Se Sote Latafat Ke Futa Karen

Jin Se Nahre Tajalli Ki Jari Rahen

Noor Ke Chashme Lahraye Dariya Bahen

Ungliyo Ki Karamat Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat....


Kaabaye Deeno Din Yaani Nakshe Qadam

Jinki Ajmat Nahi Arshe Azam Se Kam

Har Bulandi Ka Sar Ho Gaya Jis Pe Kham

Khayi Kur'aa Ne Khake Guzar Ki Kasam

Us Kafe Pa Ki Hurmat Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat....


Me Bhi Hu Ek Gada Ye Dare Auliya

Me Bhi Hu Ek Sage Kuye Gousul Wara

Me Bhi Hu Zar'raye Kuchaye Mustafa

Tere Un dosko Ke Tufaile Khuda

Bandaye Nange Khil'kat Pe Lakho Salam

Mustafa Jane Rahmat....


Abre Judo Karam Kis Pe Barsa Nahin

Tera Lutfo Karam Kis Pe Dekha Nahin

Kis Jaga Aur Kahan Tera Jalwa Nahin

Ek Mera Hi Rehmat Pe Daawa Nahin

Shah Ki Sari Ummat Pe Lakhon Salaam

Mustafa Jane Rehmat...


Aftabey Qayamat Ke Badley Hon Taur

Jab Ke Ho Har Taraf Nafsi, Nafsi Ka Dour

Jab Kisi Ko Na Ho Fursato Fikro Gour

Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur

Bhejein Sab Unki Shaukat Pe Lakhon Salaam

Mustafa Jane Rehmat...


Murshidi Shah Ahmad Raza Kha'n Raza

Faiziyabe Kamalate Hassan Raza

Sath Akhtar Bhi Ho Zam Zama Kha'n Raza

Mujhse Khidmat Ke Kudsi Kahe Ha Raza

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakho Salam

Shamye Bazme Hidayat Pe Lakho Salam

Post a Comment

0 Comments