Sahara chahye sarkar zindagi k liye | Naat Sharif Lyrics
Mere aaqa madine bula lijiye
Mere aaqa madine bula lijiye
Sahara chahye sarkar zindagi k liye
Tarap raha hoon madine ki haazri k liye
Taiba ke jaane wale..........
Taiba ke jaane wale Jaa kar bare adab se
Taiba ke jaane wale Jaa kar bare adab se
Mera bhi qisaa e gham kehna shah-E-arab se
Mera bhi qisaa e gham kehna shah-E-arab se
Kehna k shah-e- aalam........
Kehna k shah-e- aalam..Ek ranjo ghum ka mara
Dono jahan mein jis ka hain aap hi sahara
Haalat e pur alam se iss dum guzar raha hai
Or kampte labon se faryaad kr raha hai
faryaad kr raha hai
Paaye gunaaha apna hai dosh par uthaye
Koi nahi hai aesa jo pochne ko aaye
Koi nahi hai aesa jo pochne ko aaye
Bola howa musafir manzil ko dondta hai
Taarikyoo ko maah-e-kamil ko dondta hai
Seene mein hai andhera..Dil hai shiyaah khana
Ye hai meri kahani sarkaar ko sunana
Kehna mere nabi se maheroom hoo khushi se
Kehna mere nabi se maheroom hoo khushi se
Sarwar qabr-e-ghum hai.. ashkon se aankh num hai
Paamal-e-zindgi hoo sarkar umati hoo
Ummat k rehnmao kuch arz-e-haal sun lo
faryaad kr raha ho..main dil figar kb se
faryaad kr raha ho..main dil figar kb se
Mera bhi qissa-e-ghum kehna shah-E-arab se
Hazoor aesa koi intzam ho jaye
Hazoor aesa koi intzam ho jaye
Salam k liye hazir ghulam ho jaye
Salam k liye hazir ghulam ho jaye
Sahara chahye sarkar zindgi k liye
tarap raha hoo madine ki hazri k liye
Mera dil tarap raha mera jal raha hai seena
Mera dil tarap raha mera jal raha hai seena
Ke dawa wahi milegi mujhe le chalo madina
Ke dawa wahi milegi mujhe le chalo madina
Nahi maal-o-zar to kya hai..Main greeb hoo yahi na
Nahi maal-o-zar to kya hai..Main greeb hoo yahi na
Mere ishq mujh ko le chal.........
Mere ishq mujh ko le chal..Tuhi janb-e-madina
Mere ishq mujh ko le chal..Tuhi janb-e-madina
Aaqa na toot jaye ye dil ka aabghina
Aaqa na toot jaye ye dil ka aabghina
Ab k baras bhi muala reh jaon main kahin na
Ab k baras bhi muala reh jaon main kahin na
Ab k baras bhi muala reh jaon main kahin na
Dil ro raha hai jin ka aanso chalak rahe hain
Dil ro raha hai jin ka aanso chalak rahe hain
Un aashiqo ka sadqa...... bolwaye madinaaaaa.........
Mere aaaqa madine bula lijiye
Mere aaaqa madine bula lijiye
Madine jaaon phir aaon dobara phir jaaon
Madine jaaon phir aaon dobara phir jaaon
Ye zinagi meri yunhi tamam ho jaye
Ye zinagi meri yunhi tamam ho jaye
Sahara chahye sarkar zindagi ke liye
Tarap raha hoo madine ki haazri ke liye
Ae aazm-e-madina ja kar nabi se kehna
Sude humen alam se ab jal raha hai seena
Kehna k bar rahi ab dil ki iztrabi
Qadmo se door hoo mai, qismat ki hai khrabi
Kehna ke dil me mere arman bhare howe hain
Kehna ke hasrtoon k nastar chobe howe hain
Hai aarzo ye dil ki main bhi madina jaao
Sultan-e-do jahan ko..Daaghe jigar dikhao
Kaato hazar chakar, taiba ki har gali k
Yonhi guzaar do main aayam zindgi k
Pholon py jaan nisaron kanton pe dil ko waaron
Zarron ko doon salami dar ki karon ghulami
Dewaro dar ko chomon chokhat pe sar ko rakh doon
Dewaro dar ko chomon chokhat pe sar ko rakh doon
Rozy ko dekh kr main rota raho brabar
Aalam k dil mein hai ye hasrat najaany kab se
hum sab k hai dil mein hasrat najany kab se
Mera bhi qisa e ghum kehna shah-e-arab se
Sahara chahaye sarkar zindgi k liye
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye
Ek roz ho ga jaana sarkar ki gali mein
Ho ga wahi thikana sarkar ki gali mein
Dil mein nabi ki yaaden, lab par nabi ki naaten
Dil mein nabi ki yaaden, lab par nabi ki naaten
Jana to aese jana, sarkar ki gali me
Ya mustafa khudara do izn haazri ka
Kar lo nazara aak main ap ki gali ka
Ek baar to dikha do ramzan mein madina
Iss bar to dikha do ramzan mein madina
Aaqa humen dikha do ramzan me madina
Beshak bana lo aaqa mehman do ghari ka
Beshak bana lo aaqa mehman do ghari ka
Naseeb walo mein mera bhi naam ho jaye
Naseeb walo mein mera bhi naam ho jaye
Jo zindgi ki madine mein shaam ho jaye
Shahra chahye sarkar zindgi k liye
Tarap raha hoo madiny ki haazri k liye
Bula lo na Bula lo na
Aaqaq aaqa aqqa
0 Comments