Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman Abadan | Danish Dawar | Naat Sharif Lyrics





Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman Abadan - Lyrics



Saher ka Wakt tha Masum kaliyan Muskurati thi

Hawaein Khair-Makhdam ke tarane gungunati thi

Abhi Jibril bhi Utre na the Kaabe ke Mimbar se

Ke Itne mein Sada aayi hai Abdullah ke Ghar se

Mubarak ho Shahe Har do sara Tashrif le aaye

Mubarak ho Muhammad Mustafa Tashrif le aaye


Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman Abadan

Ala Habibika Khairil Khalki Kullimi

Muhammadun Sayyidun Kawnayni wa Sakalayni

Muhammadun Sayyidun Kawnayni wa Sakalayni

Wal Farikayni Min Arabiwwa Min Ajami


Na koi Aap jaisa hai na koi Aap jaisa tha

Koi Yusuf se puchhe Mustafa ka husn kaisa tha

Zameenon Aasman mein koi bhi misal na mili


Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman Abadan

Ala Habibika Khairil Khalki Kullimi


Durud Unpar Salam Unpar yahi kehna Khuda ka hai

Khuda ke baad jo hai Martaba Salle Ala ka hai

Wahi Sardar Aalam hai Wahi Ghamkhar Ummat hai

Wahi to Hashr ke maidan mein sabki shifa’at hai

Shifa’at ke liye sabki nazar Un par lagi hogi


Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman Abadan

Ala Habibika Khairil Khalki Kullimi


Salam Un par ke Jisne bekason ki Dastagiri ki

Salam Un pae ke Jisne Badshahi mein Fakiri ki

Salam Un par ke Jiske Ghar na chandi thi na sona tha

Salam Un par ke tuta boriya Jiska bichhona tha

Salam Aye Aamena ke Laal Aye Mehbube Sub’hani

Salam Aye Fakhre Maujudat Fakhre No-e-Insani

Teri Surat Teri Sirat Tera Naksha Tera Chalna

Tabassum Guftagu Banda Nawazi Khalkate Shani

Tera Dar ho Mera sar ho Mera Dil ho Tera Ghar ho

Tamanna Mukhtasar si hai magar Tamhid Tumhani



Maula Ya Salli wa Sallim Daeeman Abadan

Ala Habibika Khairil Khalki Kullimi





Post a Comment

0 Comments