Qismat Meri Chamka do Ya Shahe Madina
Bigdi Meri banado Ya Shahe Madina
Mere Aaqa Madine Bula Lijiye
Mere Aaqa Madine Bula Lijiye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi ke Liye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi ke Liye
Tadap raha hun Madine ki Hazri ke Liye
Tadap raha hun Madine ki Hazri ke Liye
Tayba ke Jane wale.........
Tayba ke Jane wale Jaa kar Bade Adab se
Tayba ke Jane wale Jaa kar Bade Adab se
Mera bhi Kissa e Gham Kehna Shahe Arab se
Kehna ke Shahe Alam......
Kehna ke Shahe Alam Ek Ranjo Gham ka Maara
Donon Jahan mein Jiska hein Aap hi Sahara
Halate Poor Alam se Jis Dam Guzar raha hai
Aur Kampte Labon se Fariyad kar raha hai
Baare Gunah Apna hai Dosh par Uthaye
Koi nahin hai Aesa Jo puchhne ko aaye
Bhula hua Musafir Manzil ko dhundhta hai
Tarikiyon mein Maahe Kamil ko Dhundhta hai
Seene mein hai Andhera Dil hai Siyah khana
Ye hai Meri Kahani Sarkar ko Sunana
Kehna Mere Nabi se Mehroom hun Khushi se
Kehna Mere Nabi se Mehroom hun Khushi se
Sar par Ek Abre Gham hai Ashkon se Aankh nam hai
Pamale Zindagi hun.. Sarkar Ummati hun
Ummat ke Rehnuma ho Kuchh Arze Haal Sunlo
Fariyad kar raha hun Mein DilFigar kab se
Fariyad kar raha hun Mein DilFigar kab se
Mera bhi Kissa e Gham Kehna Shahe Arab se
Huzur Aesa Koi Intezam ho jaaye
Huzur Aesa Koi Intezam ho jaaye
Salam ke Liye Hazir Gulam ho jaaye
Salam ke Liye Hazir Gulam ho jaaye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi ke Liye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi ke Liye
Tadap raha hun Madine ki Hazri ke Liye
Mera Dil Tadap raha hai Mera Jal raha hia Seena
Mera Dil Tadap raha hai Mera Jal raha hia Seena
Ke Dawa Wahin Milegi Mujhe le chalo Madina
Nahi Maalo Zar to kya hai Mein Gareeb hun yahi na
Nahi Maalo Zar to kya hai Mein Gareeb hun yahi na
Mere Ishk Mujhko le chal Tu hi Jaanibe Madina
Mere Ishk Mujhko le chal Tu hi Jaanibe Madina
Aaqa na toot jaye Ye Dil ka Aabgeena
Aaqa na toot jaye Ye Dil ka Aabgeena
Ab ke Baras bhi Maula reh jaoon Mein kahin na
Ab ke Baras bhi Maula reh jaoon Mein kahin na
Dil ro raha hai Jinka Aansu Chhalak rahe hein
Dil ro raha hai Jinka Aansu Chhalak rahe hein
Un Aashikon ka Sadka Bulwaeeye Madina
Mere Aaqa Madine Bula Lijiye
Mere Aaqa Madine Bula Lijiye
Madine Jaaun Fir Aaun Dobara Fir Jaaun
Madine Jaaun Fir Aaun Dobara Fir Jaaun
Ke Zindagi Meri Yunhi Tamam ho jaaye
Ke Zindagi Meri Yunhi Tamam ho jaaye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi ke Liye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi ke Liye
Tadap raha hun Madine ki Hazri ke Liye
Aye Aazime Madina Jaa kar Nabi se kehna
Soze Ghame Alam se Ab Jhal raha hai Seena
Kehna ke Badh rahi hai Ab Dil ki Iztirabi
Qadmon se Door hun Mein Kismat ki hai Kharabi
Kehna ke Dil mein Mere Armaan bhare huye hein
Kehna ke Hasraton ke Nashtar chubhe huye hein
Hai Aarzu Ye Dil ki Mein bhi Madine Jaaun
Sultane Do Jahan ko Daage Zigar dikhaun
Kaatun Hazar chakkar Tayba ki Har Ghali ke
Yunhi Guzar dun Mein Ayyam Zindagi ke
Pholun pe Jaan Nisarun Kaanton pe Dil Ko Waarun
Zarron ko dun Salami Dar ki karun Gulami
Diwar Dar ko chumun Chokhat pe Sar ko rakh dun
Diwar Dar ko chumun Chokhat pe Sar ko rakh dun
Roze ko Dekh kar Mein rota rahun Barabar
Aalam ke Dil mein hai Ye Hasrat na Jaane kab se
Hum sab ke Dil mein hai Ye Hasrat na Jaane kab se
Mera bhi Kissa-e-Gham Kehna Shahe Arab se
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi ke Liye
Ya Mustafa Khudara do Izn Hazri ka
Karlun Nazara Aa kar Mein Aapki Gali ka
Ek Baar to dikhado Ramzan mein Madina
Iss Baar to dikhado Ramzan mein Madina
Aaqa hamme dikhado Ramzan mein Madina
Beshak Banalo Aaqa Mehman Do Gadi ka
Beshak Banalo Aaqa Mehman Do Gadi ka
Naseeb Walon mein Mera bhi Naam ho jaaye
Naseeb Walon mein Mera bhi Naam ho jaaye
Jo Zindagi ki Madine mein Sham ho jaaye
Jo Zindagi ki Madine mein Sham ho jaaye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi ke Liye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi ke Liye
Tadap raha hun Madine ki Hazri ke Liye
Tadap raha hun Madine ki Hazri ke Liye
Yaa.....Rasoolallah
Yaa.....Rasoolallah
0 Comments